*intro* Assalamualaikum doston me aapka mezban Mohammed Aamir aaj hum jaarahe hain shaher
e Bangalore ki ek mashoor dargah Hazrat Kambal posh Rahmatullahi Aleh ke Darbar me ye dargah
sheher e Bangalore me bilkul jo bessy arie hai Shivaji Nagar me moujood hai jesa ke aap
dekh sakte hain dargah ka location aap Ko dikh Raha hai dargah ke baghal me ek bilkul
khoobsurat masjid hai aur Shivaji Nagar ka bilkul ye aap Ko chouk Nazar aaraha hai aap
agar chouk me Aajaye hai to aap Ko dargah qareeb me pade gi aaj me aapko Hazrat Kambal
posh Rahmatullahi Aleh ki Chand karamaten aur unki history biography bataoun ga aage
badne se pehle agar aap ne Abhi tak we love Islam Ko subscribe nahi Kia to subscribe karle
aur Bell icon Ko dabaden taake is Tarha ki video aap Ko milti rahe aur subscribe karne
ke Baad Bell icon Ko Zaroor press karden to chalye aage badten hain Hazrat Kambal posh
Rahmatullahi Aleh ke aaba o ajdad shaahane Arab se the aap ke walide girami ka isme Shareef
Hazrat Husain shah qadri tha aur aap ki walida majida ka Mubarak Naam bi bi Fatima Sani tha
shahinshah Akbar ke zamana e hukumat me 1558 eeswi me tableegh o ishat e Islam ke liye
Aap ke aaba o ajdad huzoor sarware kounen sallallahu Alehi wasallam ke Hukum par Hindustan
Aaye sufiya e kiram ka qoul hai ke aaj bhi dunya ke har khitte aur har chappe ke liye
madinatun nabi sallallahu Alehi wasallam se wali mutakhab ho kar aate Hain aap ke Hasab
o nasab ke baare me Hazrat ataa Bangaloree ka ek share hai Hasab me aala nasab me aoula
Shareef ibne Shareef aap hasani o husaini sadad me se the aap ka Silsila Mehboob e Subhani
maashooqe rehmani peer e peera meere meeran Hazrat Abdul Qadir jeelani Ghouse e Azam Raziallahu
Tala Anhu se milta tha aur kayee push se syedush shohada Hazrat syedina imam Hussain Raziallahu
Tala Anhu se milta hai ek Martaba ka waqiya hai ke aap ke walidajid Hazrat Syed Shah husaini
wali Rahmatullahi Aleh jab Hazrat khuwaja Banda Nawaz Rahmatullahi Aleh ki Ziyarat karke
aarahe the to seedhe padola palli protor se dedh meel pahunche pahuch kar ghusul Farmaya
phir do rakat namaze shukriya ki raat ke 10:00pm ka Waqt tha ke ek ekayak Chand cheekhen sunaidin
museebat zada ki cheekhen sunkar aap wahan par pahunche to dekha ki ek Insan khouf se
larz Raha hai aur bahut si balaye aur Jin usey gheere huwe hai aap ne fouran kal maye
tayyiba ka vird shuru kar diya sirf ek hi kalmaye Mubarak aap ki Zabaan se Ada huawa
tha ke tamaam khabees jinnat us aadmi Ko choda kar bhaagaye aapne us aadmi Ko saath lekar
Raat guzari Subha sawere us aadmi ne gaun walon Ko jaakar ye khush khabri di ke ek ba-khuda
aadmi ne Raat uski Jaan kaise bachai aur balayen usko dekh kar kese bhaag gayen ek karamat
ka haal sunkar gaun ke log aap ki khidmat me haazir huwe aur gaoun chalne ki dawat dinjis
Ko aap ne Manzoor Farmaya jis jagah sirf 4,ya5 musalmano ke ghar the aaj wahan 20,000hazar
musalmano aabad hain aap ka aastana e Mubarak dargah Shah Husain me Naam se mashhoor hai
Hazrat Kambal posh Rahmatullahi Aleh ka Bangalore aane ka ittafaq kaise huwa to halat ke aagahi
se malum hota hai ke zila Saleem ki ek rajment jisme Aapke bahut se motaqadeen the usey zamane
me Bangalore aayi aap Apne peer o murshid ke hukumke muajjib aur qaza o qudrat ke faisle
ke mutabiq aap is rajment ke saath shehar e Bangalore Ko Tashreef lay Aaye ye waqiya
19wees sadi eeswi ke ibtadai dour ka hai Syed moueenud Deen Qadri Hazrat Kambal posh ke
Naam se kaise mashhoor huwe is ke baare me aata hai ke Hazrat aksaf zaib e tan Kambal
ka kharqa farmarahe the aur is kharqa e Mubarak Ko Apne jisme paak se juda karna pasand na
farmate the riwayat hai ki ye kharka aap ke dada murshid Shah sharfudeen Shah qardi Rahmatullahi
Aleh Kambal posh Rahmatullahi Aleh ko unke murshid e paad Hazrat Syed filhal Shah Qadri
Rahmatullahi Aleh ne makka e muazzama me safa o Marwa ke maidan me Inayat Farmaya tha us
Waqt se aap ke silsile me Wahi kharqa e Mubarak chala aaraha hai aap Ko usey sabab aap ke
aur aap ke silsile ke auliya kiram Kambal posh ke Naam se mashhoor hain huwe Hazrat
Kambal posh Rahmatullahi ki zaat girami sarta paa mojiza thi aur aaj bhi haalan ki Hazrat
ki kashaf o karamat ke tazkire bahut mashhoor aur zaban zad hain Lekin suni sunai baaton
Ko me aap se kehna munasib nahi samajhta aur burzug mosoos ki Shaan me gustakhi samajhta
Hun is liye me aap Ko wo waqiya bataoun ga jinki sehat o sachai me koi kalaam nahi . Hazrat
Kambal posh ki Zindagi me Hajat Mando ka taatna Laga rehta tha log kashan kashan aap ke Darbar
e ruhani me Hama aqsaam ki hajaten ke karke aate aur Darbar e aqdas se Hajat rawai ki
bheek mangte Hazrat apni kaifiyat e jalali me mustaghrat ka bhi kuch Ishara farmadiya
kabhi muskura diya karte kabhi duwa farma dete Allah tala Apne Mehboob bande ke Raaz
o niyaz ki hurmat ke tasadduq mureedon ki muraaden haajat mandon ki haajaten poori karta
tha log ba mudar aur hasi Khushi wapas lout te the Hazrat Kambal posh Rahmatullahi Aleh
ka urs harsaal bade hi Shaan o shokat ke saath zilqaida ki22,23,24 Tareekh Ko bade hi Shaan
o shokat ke saath manaya jata hai.
Muazzaz naazireer aap Ko ye video Kaisa Laga neeche comment box me Zaroor batayen aur video
Ko like Karen aur sawab ki niyat se aage Share karden aur hamare channel Ko Zaroor Subscribe
karen assalamualaikum
No comments:
Post a Comment